ye jaante hue ki nadi hai chaDhao par
ye jānte hue ki nadī hai chaḌhāo par
ham bhī chale haiñ baiTh ke kāġhaz kī naav par
jalte hue nagar ke yahī zimma-dār haiñ
jo log haath taap rahe haiñ alaav par
ulfat ke dā.ere na bikhar jaa.eñ TuuT kar
pheñkā karo na tanz ke patthar bahāv par
chhāñv jo apnī baañT chukā maiñ vo peḌ huuñ
be-sāya ho ke ḳhud ko lagāyā hai daao par
har jism daaġh daaġh libāsoñ kī aaḌ meñ
lekin ye e'tirāz faqat mere ghaav par
ye jaante hue ki nadi hai chaDhao par
hum bhi chale hain baiTh ke kaghaz ki naw par
jalte hue nagar ke yahi zimma-dar hain
jo log hath tap rahe hain alaw par
ulfat ke daere na bikhar jaen TuT kar
phenka karo na tanz ke patthar bahaw par
chhanw jo apni banT chuka main wo peD hun
be-saya ho ke KHud ko lagaya hai dao par
har jism dagh dagh libason ki aaD mein
lekin ye e'tiraaz faqat mere ghaw par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.