Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jabr-e-zindagi na uThaen to kya karen

Siraj Lakhnavi

ye jabr-e-zindagi na uThaen to kya karen

Siraj Lakhnavi

MORE BYSiraj Lakhnavi

    ye jabr-e-zindagī na uThā.eñ to kyā kareñ

    taḌpeñ magar taḌapne na paa.eñ to kyā kareñ

    ab apnī mahfiloñ se bhī aatī hai bū-e-ġhair

    jaa.eñ to kyā kareñ jo na jaa.eñ to kyā kareñ

    qismat meñ apnī sub.h ab raushnī kahāñ

    ashkoñ ke bhī diye na jalā.eñ to kyā kareñ

    kitnī rāteñ jaag ke āñkhoñ meñ kaaT diiñ

    bedāriyāñ bhī ḳhvāb dikhā.eñ to kyā kareñ

    vo rañg-o-bū ke qāfile raste hoñ jin ke band

    dīvār-e-bāġh phāñd na paa.eñ to kyā kareñ

    kāñToñ ke din bhī phir ga.e raas aa ga.ī bahār

    chhīnī ga.iiñ guloñ qabā.eñ to kyā kareñ

    girtā hai har palak ke jhapakne pe ik hijāb

    āñkhoñ ko intizār sikhā.eñ to kyā kareñ

    har raushnī 'sirāj' charāġh-e-haram nahīñ

    is sat.h par nigāh ko laa.eñ to kyā kareñ

    ye jabr-e-zindagi na uThaen to kya karen

    taDpen magar taDapne na paen to kya karen

    ab apni mahfilon se bhi aati hai bu-e-ghair

    jaen to kya karen jo na jaen to kya karen

    qismat mein apni subh ki ab raushni kahan

    ashkon ke bhi diye na jalaen to kya karen

    kitni hi raaten jag ke aankhon mein kaT din

    bedariyan bhi KHwab dikhaen to kya karen

    wo rang-o-bu ke qafile raste hon jin ke band

    diwar-e-bagh phand na paen to kya karen

    kanTon ke din bhi phir gae ras aa gai bahaar

    chhini gain gulon ki qabaen to kya karen

    girta hai har palak ke jhapakne pe ek hijab

    aankhon ko intizar sikhaen to kya karen

    har raushni 'siraj' charagh-e-haram nahin

    is sath par nigah ko laen to kya karen

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now