ye jahan-e-rang-o-bu teri dil-lagi bhi hai
ye jahān-e-rañg-o-bū terī dil-lagī bhī hai
pūchh apne bandoñ se jin kī bebasī bhī hai
kaisī saḳht mushkil hai kaisā imtihāñ hai ye
jaal meñ phañse bhī haiñ jaal zindagī bhī hai
ishq do-jahāñ bhī hai ishq lā-makāñ bhī hai
ishq zaat hai merī ishq āgahī bhī hai
un kī raah tak lenā un ko yaad kar lenā
ye hī dil kī betābi ye hī be-ḳhudī bhī hai
zindagī ke roz-o-shab dil kī ye junūñ-ḳhezī
ye hī ġham kā maḳhzan hai ye hī sarḳhushī bhī hai
sab kī baat sun lenā sab se baat kar lenā
ye mizāj hai merā ye hī bandagī bhī hai
ye jahan-e-rang-o-bu teri dil-lagi bhi hai
puchh apne bandon se jin ki bebasi bhi hai
kaisi saKHt mushkil hai kaisa imtihan hai ye
jal mein phanse bhi hain jal zindagi bhi hai
ishq do-jahan bhi hai ishq la-makan bhi hai
ishq zat hai meri ishq aagahi bhi hai
un ki rah tak lena un ko yaad kar lena
ye hi dil ki betabi ye hi be-KHudi bhi hai
zindagi ke roz-o-shab dil ki ye junun-KHezi
ye hi gham ka maKHzan hai ye hi sarKHushi bhi hai
sab ki baat sun lena sab se baat kar lena
ye mizaj hai mera ye hi bandagi bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.