ye jahan KHub hai sab is ke nazare achchhe
ye jahāñ ḳhuub hai sab is ke nazāre achchhe
us se baḌh kar haiñ ise chāhne vaale achchhe
ek hī dauḌ meñ shāmil hoñ sabhī log to phir
saare aġhyār bhale haiñ sabhī apne achchhe
aaj bhī terī himāyat hai ki ai mauj-e-balā
chashm-e-namnāk bhalī ḳhuun ke dhāre achchhe
kis kī tārīf kareñ kis ke qasīde likkheñ
nafs-e-mazmūn se baḌh kar haiñ havāle achchhe
in dinoñ āb-o-havā-e-dil-o-jāñ behtar hai
māh-ruḳh māh-jabīñ maah ke paare achchhe
ye to ik kār-e-ziyāñ hai jo rahegā jaarī
ham se ā.eñge suḳhan-var abhī achchhe achchhe
ye jahan KHub hai sab is ke nazare achchhe
us se baDh kar hain ise chahne wale achchhe
ek hi dauD mein shamil hon sabhi log to phir
sare aghyar bhale hain sabhi apne achchhe
aaj bhi teri himayat hai ki ai mauj-e-bala
chashm-e-namnak bhali KHun ke dhaare achchhe
kis ki tarif karen kis ke qaside likkhen
nafs-e-mazmun se baDh kar hain hawale achchhe
in dinon aab-o-hawa-e-dil-o-jaan behtar hai
mah-ruKH mah-jabin mah ke pare achchhe
ye to ek kar-e-ziyan hai jo rahega jari
hum se aaenge suKHan-war abhi achchhe achchhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.