ye jang wo hai ki ab KHud bhi haarna chahun
ye jang vo hai ki ab ḳhud bhī hārnā chāhūñ
magar maiñ is ke liye bhī tirī razā chāhūñ
mire ġhulām mire aa.ine uThā laanā
ki maiñ is aag ko paanī meñ dekhnā chāhūñ
maiñ shāḳh shāḳh tirī nik.hateñ fuzūñ dekhūñ
maiñ taaq taaq tirī raushnī savā chāhūñ
aTā huā tirī ḳhushbū se pairahan rakkhūñ
bhare hue tire rañgoñ meñ dast o pā chāhūñ
tamām shahr ḳhamoshī kī niiñd soyā hai
maiñ aise vaqt meñ ik ḳhanjar-e-navā chāhūñ
jo ḳhema-gāh se niklūñ to qatl-gāh talak
paTā huā tire a.azā se rāsta chāhūñ
maiñ ahd-nāma-e-tanhā.ī lene aa.ī huuñ
fasīl-e-hijr kā ik ek baab vā chāhūñ
mirī ridā.eñ kanīzoñ meñ baañT diiñ jis ne
ḳhirāj-e-sāya-e-dīvār us se kyā chāhūñ
ye jang wo hai ki ab KHud bhi haarna chahun
magar main is ke liye bhi teri raza chahun
mere ghulam mere aaine uTha lana
ki main is aag ko pani mein dekhna chahun
main shaKH shaKH teri nikhaten fuzun dekhun
main taq taq teri raushni sawa chahun
aTa hua teri KHushbu se pairahan rakkhun
bhare hue tere rangon mein dast o pa chahun
tamam shahr KHamoshi ki nind soya hai
main aise waqt mein ek KHanjar-e-nawa chahun
jo KHema-gah se niklun to qatl-gah talak
paTa hua tere aaza se rasta chahun
main ahd-nama-e-tanhai lene aai hun
fasil-e-hijr ka ek ek bab wa chahun
meri ridaen kanizon mein banT din jis ne
KHiraj-e-saya-e-diwar us se kya chahun
- Book : Kunj piile phuulo.n kaa (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.