ye jhuT hai ki mera koi muddaa hi nahin
ye jhuuT hai ki mirā koī mudda.ā hī nahīñ
savāl ye hai ki us ne kabhī sunā hī nahīñ
bas ek baar vo bach kar guzar gayā mujh se
phir us kā naam kabhī umr-bhar liyā hī nahīñ
kiyā thā vaar magar muskurā ke dushman ne
ajiib baat hai ye haath phir uThā hī nahīñ
na-jāne kis liye ḳhāmosh ho gayā sun kar
ki us ke paas mire dard kī davā hī nahīñ
mujhe yaqīn thā do lafz to likhegā vo
javāb us ne mire ḳhat kā par diyā hī nahīñ
tamām chāhateñ yak-tarfa rah ga.iiñ 'saifī'
tumhāre pyaar kā jaadū magar chalā hī nahīñ
ye jhuT hai ki mera koi muddaa hi nahin
sawal ye hai ki us ne kabhi suna hi nahin
bas ek bar wo bach kar guzar gaya mujh se
phir us ka nam kabhi umr-bhar liya hi nahin
kiya tha war magar muskura ke dushman ne
ajib baat hai ye hath phir uTha hi nahin
na-jaane kis liye KHamosh ho gaya sun kar
ki us ke pas mere dard ki dawa hi nahin
mujhe yaqin tha do lafz to likhega wo
jawab us ne mere KHat ka par diya hi nahin
tamam chahaten yak-tarfa rah gain 'saifi'
tumhaare pyar ka jadu magar chala hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.