ye jhuTon ka zamana hai koi sach baat mat kahna
ye jhūToñ kā zamāna hai koī sach baat mat kahnā
chunāñche raat be-shak ho magar tum raat mat kahnā
jarā.em se tumhāre koī parda ḳhaak uThā.egā
nafī karte raho saḳhtī se tum isbāt mat kahnā
zamīr ik aisī daulat hai ki jo mushkil se miltī hai
kisī ko apne muñh se qibla-e-hājāt mat kahnā
yahī to āj-kal majzūb hone kī alāmat hai
ki hāl-e-ġhaib kahnā amr-e-maujūdāt mat kahnā
ye jhuTon ka zamana hai koi sach baat mat kahna
chunanche raat be-shak ho magar tum raat mat kahna
jaraem se tumhaare koi parda KHak uThaega
nafi karte raho saKHti se tum isbaat mat kahna
zamir ek aisi daulat hai ki jo mushkil se milti hai
kisi ko apne munh se qibla-e-hajat mat kahna
yahi to aaj-kal majzub hone ki alamat hai
ki haal-e-ghaib kahna amr-e-maujudat mat kahna
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 134)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.