ye jigar-goshe bhi jab farmaishen le aaenge
ye jigar-goshe bhi jab farmaishen le aaenge
Mohammad Owais Malik
MORE BYMohammad Owais Malik
ye jigar-goshe bhī jab farmā.isheñ le ā.eñge
bech kar kuchh ḳhvāb ham āsā.isheñ le ā.eñge
haiñ abhī saada magar ik din yahī nau-ḳhez phuul
is chaman meñ nit-na.ī ārā.isheñ le ā.eñge
ai gul-e-barbād vo qazzāq mausam jab milā
chhīn kar vāpas tirī zebā.isheñ le ā.eñge
fatvā-o-qānūn bas ham kaj-ravoñ par saḳht haiñ
aap jab chāheñge kuchh gunjā.isheñ le ā.eñge
ham ne kab sochā thā itne sāf-tīnat log bhī
dil hī dil meñ is qadar ālā.isheñ le ā.eñge
ye jigar-goshe bhi jab farmaishen le aaenge
bech kar kuchh KHwab hum aasaishen le aaenge
hain abhi sada magar ek din yahi nau-KHez phul
is chaman mein nit-nai aaraishen le aaenge
ai gul-e-barbaad wo qazzaq mausam jab mila
chhin kar wapas teri zebaishen le aaenge
fatwa-o-qanun bas hum kaj-rawon par saKHt hain
aap jab chahenge kuchh gunjaishen le aaenge
hum ne kab socha tha itne saf-tinat log bhi
dil hi dil mein is qadar aalaishen le aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.