ye ji mein hai ki mohabbat ka bab likhkungi
ye jī meñ hai ki mohabbat kā baab likhkūñgī
janāb-e-man ko maiñ ālī-janāb likkhūñgī
kabhī jo bhūle se paḌh le vo jaan hī legā
maiñ rāz-e-ishq ko yuuñ be-hisāb likkhūñgī
jo hausla hai to muñh pher kar guzar jaa.e
maiñ us kī chashm-e-karam ko itaab likkhūñgī
mire nasīb kā dār-o-madār hai us par
dil-e-ḳharāb ko ḳhāna-ḳharāb likkhūñgī
hisāb lūñgī tirī kaj-adā.ī kā aksar
kabhī vafā ko tirī be-hisāb likkhūñgī
buland parcham-e-insāniyat rahe jis meñ
maiñ daur-e-nau kā vo a.alā nisāb likkhūñgī
hazār mujh ko malāmat kā sāmnā ho magar
azāb-e-zīst ko kār-e-savāb likkhūñgī
jo mere baad paḌhī jaa.e ek muddat tak
maiñ husn-o-ishq kī aisī kitāb likhūñgī
ye ji mein hai ki mohabbat ka bab likhkungi
janab-e-man ko main aali-janab likkhungi
kabhi jo bhule se paDh le wo jaan hi lega
main raaz-e-ishq ko yun be-hisab likkhungi
jo hausla hai to munh pher kar guzar jae
main us ki chashm-e-karam ko itab likkhungi
mere nasib ka dar-o-madar hai us par
dil-e-KHarab ko KHana-KHarab likkhungi
hisab lungi teri kaj-adai ka aksar
kabhi wafa ko teri be-hisab likkhungi
buland parcham-e-insaniyat rahe jis mein
main daur-e-nau ka wo aala nisab likkhungi
hazar mujh ko malamat ka samna ho magar
azab-e-zist ko kar-e-sawab likkhungi
jo mere baad paDhi jae ek muddat tak
main husn-o-ishq ki aisi kitab likhungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.