ye jin par chal rahe hain ahl-e-jada
ye jin par chal rahe haiñ ahl-e-jāda
hai mere naqsh-e-pā se istifāda
tumhārī jeb meñ lutf-e-yaqīñ hai
mire kashkol meñ hai sirf va.ada
vo chāhe jab hameñ izn-e-safar de
kiye baiThe haiñ ham pakkā irāda
ijāzat ho to terā naam likh duuñ
kitāb-e-dil kā ik saf.ha hai saada
ġhazal-ḳhvāñ ho rahā hai vo ki jo hai
ġhazal kī saltanat kā shāhzāda
mulāqāt un se ho jaatī hai jab ham
nikal paḌte haiñ ghar se be-irāda
vahī pīr-e-suḳhan hai 'shān' jis kā
koī shajara na koī ḳhānvāda
ye jin par chal rahe hain ahl-e-jada
hai mere naqsh-e-pa se istifada
tumhaari jeb mein lutf-e-yaqin hai
mere kashkol mein hai sirf wada
wo chahe jab hamein izn-e-safar de
kiye baiThe hain hum pakka irada
ijazat ho to tera nam likh dun
kitab-e-dil ka ek safha hai sada
ghazal-KHwan ho raha hai wo ki jo hai
ghazal ki saltanat ka shahzada
mulaqat un se ho jati hai jab hum
nikal paDte hain ghar se be-irada
wahi pir-e-suKHan hai 'shan' jis ka
koi shajara na koi KHanwada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.