ye jism-o-ruh ka rishta bhi bojh lagta hai
ye jism-o-rūh kā rishta bhī bojh lagtā hai
ḳhud apne aap kā saaya bhī bojh lagtā hai
kisī ko chāhte rahnā bhī bojh lagtā hai
kisī ke hijr meñ ronā bhī bojh lagtā hai
ye kis maqām pe laa.ī haiñ shohrateñ mujh ko
ki apne naam kā charchā bhī bojh lagtā hai
tumhāre saath hī guzrī jo zindagī guzrī
tumhāre ba.ad to jiinā bhī bojh lagtā hai
kisī ko merī udāsī udaas kartī hai
kisī ko merā ye hañsnā bhī bojh lagtā hai
ab āñkheñ is tarah bojhal huī haiñ ai 'āsim'
ki koī ḳhvāb suhānā bhī bojh lagtā hai
ye jism-o-ruh ka rishta bhi bojh lagta hai
KHud apne aap ka saya bhi bojh lagta hai
kisi ko chahte rahna bhi bojh lagta hai
kisi ke hijr mein rona bhi bojh lagta hai
ye kis maqam pe lai hain shohraten mujh ko
ki apne nam ka charcha bhi bojh lagta hai
tumhaare sath hi guzri jo zindagi guzri
tumhaare baad to jina bhi bojh lagta hai
kisi ko meri udasi udas karti hai
kisi ko mera ye hansna bhi bojh lagta hai
ab aankhen is tarah bojhal hui hain ai 'asim'
ki koi KHwab suhana bhi bojh lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.