ye jitne parinde uDanon mein hain
ye jitne parinde uḌānoñ meñ haiñ
mire tiir ke sab nishānoñ meñ haiñ
chhateñ āsmāñ chhū rahī haiñ magar
baḌī paTTiyāñ in makānoñ meñ haiñ
hai bhaa.ī se bhaa.ī bhī nā-āshnā
ye rasmeñ baḌe ḳhāndānoñ meñ haiñ
kitābeñ jinheñ de rahīñ haiñ sadā
vo bachche abhī kār-ḳhānoñ meñ haiñ
ye jitne parinde uDanon mein hain
mere tir ke sab nishanon mein hain
chhaten aasman chhu rahi hain magar
baDi paTTiyan in makanon mein hain
hai bhai se bhai bhi na-ashna
ye rasmen baDe KHandanon mein hain
kitaben jinhen de rahin hain sada
wo bachche abhi kar-KHanon mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.