ye jo apne KHuda se Darte hain
ye jo apne ḳhudā se Darte haiñ
ham kisī bad-duā se Darte haiñ
varna parda uThā deñ duniyā kā
sirf apnī hayā se Darte haiñ
aur udāsī kahīñ na ug aa.e
ghar kī āb-o-havā se Darte haiñ
ḳhair ho un kī kaj-adā.ī kī
ham to apnī vafā se Darte haiñ
mudda.ī ko banā na deñ mujrim
munsifoñ kī adā se Darte haiñ
shab ke jaage abhī to so.e the
'fātima' ham sabā se Darte haiñ
ye jo apne KHuda se Darte hain
hum kisi bad-dua se Darte hain
warna parda uTha den duniya ka
sirf apni haya se Darte hain
aur udasi kahin na ug aae
ghar ki aab-o-hawa se Darte hain
KHair ho un ki kaj-adai ki
hum to apni wafa se Darte hain
muddai ko bana na den mujrim
munsifon ki ada se Darte hain
shab ke jage abhi to soe the
'fatima' hum saba se Darte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.