ye jo ashaar sune jate hain aasani se
ye jo ashaar sune jate hain aasani se
Syed Mohammad Tajeel Mehdi
MORE BYSyed Mohammad Tajeel Mehdi
ye jo ash'ār sune jaate haiñ āsānī se
log vāqif hī nahīñ dil kī pareshānī se
jo bhī is bahr meñ aayā vo to phir Dūbegā
koī bach paayā hai kyā 'ishq kī tuġhyānī se
diin ke naam pe kyā zulm kiye jaate haiñ
ham to kāfir hī bhale aisī musalmānī se
ab kisī shai meñ mirā dil nahīñ lagtā 'tā’jīl'
raunaqeñ ḳhatm huiiñ qalb kī vīrānī se
ye jo ash'ar sune jate hain aasani se
log waqif hi nahin dil ki pareshani se
jo bhi is bahr mein aaya wo to phir Dubega
koi bach paya hai kya 'ishq ki tughyani se
din ke nam pe kya zulm kiye jate hain
hum to kafir hi bhale aisi musalmani se
ab kisi shai mein mera dil nahin lagta 'ta’jil'
raunaqen KHatm huin qalb ki virani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.