ye jo bahar KHuda se Dar rahe hain
ye jo bāhar ḳhudā se Dar rahe haiñ
bahut kuchh dil ke andar kar rahe haiñ
abhī dekhā hai kuchh T.v meñ shāyad
mire bachche mujhī se Dar rahe haiñ
irāda hai mirā ghar bechne kā
paḌosī ḳhuub ḳhātir kar rahe haiñ
yahāñ par koī dariyā-dil nahīñ hai
sab apne ghar kā paanī bhar rahe haiñ
tirī ḳhushbū se jo vāqif nahīñ haiñ
vo phūloñ se guzāra kar rahe haiñ
nikal aa.e to phir rone na deñge
ham apne āñsuoñ se Dar rahe haiñ
Tahalte phir rahe haiñ saare ghar meñ
tirī ḳhālī jagah ko bhar rahe haiñ
ye jo bahar KHuda se Dar rahe hain
bahut kuchh dil ke andar kar rahe hain
abhi dekha hai kuchh Tw mein shayad
mere bachche mujhi se Dar rahe hain
irada hai mera ghar bechne ka
paDosi KHub KHatir kar rahe hain
yahan par koi dariya-dil nahin hai
sab apne ghar ka pani bhar rahe hain
teri KHushbu se jo waqif nahin hain
wo phulon se guzara kar rahe hain
nikal aae to phir rone na denge
hum apne aansuon se Dar rahe hain
Tahalte phir rahe hain sare ghar mein
teri KHali jagah ko bhar rahe hain
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 33)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.