ye jo bikhre hain inhen koi dua mil jae
ye jo bikhre haiñ inheñ koī duā mil jaa.e
ab himāyat na sahī un ko azā mil jaa.e
merī ḳhvāhish hai ki tū aa.e ayādat karne
aur tujhe merā koī zaḳhm harā mil jaa.e
jiite jī ham ko koī ghar to mayassar na huā
kisī ke dil meñ to rahne ko jagah mil jaa.e
zaḳhm khā.eñge magar ishq nahīñ chhoḌeñge
ishq karne kī bhale kuchh bhī sazā mil jaa.e
ye jo bikhre hain inhen koi dua mil jae
ab himayat na sahi un ko aza mil jae
meri KHwahish hai ki tu aae ayaadat karne
aur tujhe mera koi zaKHm hara mil jae
jite ji hum ko koi ghar to mayassar na hua
kisi ke dil mein to rahne ko jagah mil jae
zaKHm khaenge magar ishq nahin chhoDenge
ishq karne ki bhale kuchh bhi saza mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.