ye jo dhuan dhuan sa hai dasht-e-guman ke aas-pas
ye jo dhuāñ dhuāñ sā hai dasht-e-gumāñ ke ās-pās
kyā koī aag bujh ga.ī sarhad-e-jāñ ke ās-pās
shor-e-havā-e-shām-e-ġham yuuñ to kahāñ kahāñ nahīñ
suniye to bas sunā.ī de dard-e-nihāñ ke ās-pās
bujh ga.e kyā charāġh sab ai dil-e-āfiyat-talab
kab se bhaTak rahe haiñ ham kū-e-ziyāñ ke ās-pās
un ko talāsh kījiye ham to mileñge aap hī
apnī bhī jā-e-bāsh hai gum-shudagāñ ke ās-pās
sīna-e-shab ko chiir kar dekho to kyā samāñ hai ab
manzil-e-dil ke sāmne kūcha-e-jāñ ke ās-pās
vo bhī ajab savār thā aayā idhar udhar gayā
pahuñchī na merī ḳhaak bhī us kī inaañ ke ās-pās
ālam-e-sard-o-garm kī kyā ho bhalā unheñ ḳhabar
vo jo rahe haiñ umr bhar shola-ruḳhāñ ke ās-pās
ye jo dhuan dhuan sa hai dasht-e-guman ke aas-pas
kya koi aag bujh gai sarhad-e-jaan ke aas-pas
shor-e-hawa-e-sham-e-gham yun to kahan kahan nahin
suniye to bas sunai de dard-e-nihan ke aas-pas
bujh gae kya charagh sab ai dil-e-afiyat-talab
kab se bhaTak rahe hain hum ku-e-ziyan ke aas-pas
un ko talash kijiye hum to milenge aap hi
apni bhi ja-e-bash hai gum-shudagan ke aas-pas
sina-e-shab ko chir kar dekho to kya saman hai ab
manzil-e-dil ke samne kucha-e-jaan ke aas-pas
wo bhi ajab sawar tha aaya idhar udhar gaya
pahunchi na meri KHak bhi us ki inan ke aas-pas
aalam-e-sard-o-garm ki kya ho bhala unhen KHabar
wo jo rahe hain umr bhar shola-ruKHan ke aas-pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.