ye jo dikh raha hun main is qadar ujalon mein
ye jo dikh rahā huuñ maiñ is qadar ujāloñ meñ
guftugū bahut kī hai aap se ḳhayāloñ meñ
aap ke havāle se mujh ko yaad paḌtā hai
maiñ kahāñ kahāñ pe thā aap ke havāloñ meñ
aap gar chale aao to sabhī ko dikhlā.ūñ
ho bhalā bayāñ kaise zindagī misāloñ meñ
ḳhvāb ke jazīroñ se roz phuul chuntā huuñ
roz baañT detā huuñ aane jaane vāloñ meñ
rang zindagānī ke karvaTeñ badalte haiñ
aap hī ke hoñToñ par aap hī ke gāloñ meñ
ye jo dikh raha hun main is qadar ujalon mein
guftugu bahut ki hai aap se KHayalon mein
aap ke hawale se mujh ko yaad paDta hai
main kahan kahan pe tha aap ke hawalon mein
aap gar chale aao to sabhi ko dikhlaun
ho bhala bayan kaise zindagi misalon mein
KHwab ke jaziron se roz phul chunta hun
roz banT deta hun aane jaane walon mein
rang zindagani ke karwaTen badalte hain
aap hi ke honTon par aap hi ke galon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.