ye jo hum kabhi kabhi sochte hain raat ko
ye jo ham kabhī kabhī sochte haiñ raat ko
raat kyā samajh sake in mu'āmalāt ko
husn aur najāt meñ fasl-e-mashriqain hai
kaun chāhtā nahīñ husn ko najāt ko
ye sukūn-e-be-jihat ye kashish 'ajīb hai
tujh meñ band kar diyā kis ne shash-jihāt ko
sāhil-e-ḳhayāl par kahkashāñ kī chhūT thī
ek mauj le ga.ī in tajalliyāt ko
aañkh jab uThe bhar aa.e she'r ab kahā na jaa.e
kaise bhuul jaa.e vo bhūlne kī baat ko
dekh ai merī nigāh tū bhī hai jahāñ bhī hai
kis ne bā-ḳhabar kiyā dūsre kī zaat ko
kyā ai merī nigāh tū bhī hai jahāñ bhī hai
kis ne bā-ḳhabar kahā dūsre kī zaat ko
kyā huiiñ rivāyateñ ab haiñ kyuuñ shikāyateñ
ishq-e-nā-murād se husn-e-be-sabāt ko
ai bahār-e-sar-girāñ tū ḳhizāñ-nasīb hai
aur ham taras ga.e tere iltifāt ko
ye jo hum kabhi kabhi sochte hain raat ko
raat kya samajh sake in mu'amalat ko
husn aur najat mein fasl-e-mashriqain hai
kaun chahta nahin husn ko najat ko
ye sukun-e-be-jihat ye kashish 'ajib hai
tujh mein band kar diya kis ne shash-jihat ko
sahil-e-KHayal par kahkashan ki chhuT thi
ek mauj le gai in tajalliyat ko
aankh jab uThe bhar aae she'r ab kaha na jae
kaise bhul jae wo bhulne ki baat ko
dekh ai meri nigah tu bhi hai jahan bhi hai
kis ne ba-KHabar kiya dusre ki zat ko
kya ai meri nigah tu bhi hai jahan bhi hai
kis ne ba-KHabar kaha dusre ki zat ko
kya huin riwayaten ab hain kyun shikayaten
ishq-e-na-murad se husn-e-be-sabaat ko
ai bahaar-e-sar-giran tu KHizan-nasib hai
aur hum taras gae tere iltifat ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.