ye jo hum sab ki zindagani hai
ye jo ham sab kī zindagānī hai
an-kahī sī koī kahānī hai
jis ne ġham se kiyā hai samjhauta
us ke chehre pe shādmānī hai
itnā maġhrūr kyoñ hai tāqat par
chaar din kī tirī javānī hai
chāñd tāroñ se jā ke kah denā
ye zamīñ bhī to āsmānī hai
dard-o-ġham se abhī hai ġhāfil sī
ye jo laḌkī bahut divānī hai
sun ke vo bhī 'azal' ye kahte haiñ
terī ġhazloñ meñ kyā ravānī hai
ye jo hum sab ki zindagani hai
an-kahi si koi kahani hai
jis ne gham se kiya hai samjhauta
us ke chehre pe shadmani hai
itna maghrur kyon hai taqat par
chaar din ki teri jawani hai
chand taron se ja ke kah dena
ye zamin bhi to aasmani hai
dard-o-gham se abhi hai ghafil si
ye jo laDki bahut diwani hai
sun ke wo bhi 'azal' ye kahte hain
teri ghazlon mein kya rawani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.