ye jo humse do chaar baiThe hain
ye jo ham se do chaar baiThe haiñ
fitna-e-rozgār baiThe haiñ
tishna-e-ḳhūñ yahī hamāre haiñ
ye jo bāñdh kaTār baiThe haiñ
tere kūche meñ jaise naqsh-e-qadam
kab se ham ḳhāksār baiThe haiñ
ġhair ke sar pe teġh mat khīñcho
ham tumhāre 'nisār' baiThe haiñ
ye jo hum se do chaar baiThe hain
fitna-e-rozgar baiThe hain
tishna-e-KHun yahi hamare hain
ye jo bandh kaTar baiThe hain
tere kuche mein jaise naqsh-e-qadam
kab se hum KHaksar baiThe hain
ghair ke sar pe tegh mat khincho
hum tumhaare 'nisar' baiThe hain
- Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 84)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.