ye jo hum surat-e-ashjar mein ug aate hain
ye jo ham sūrat-e-ashjār meñ ug aate haiñ
tum samajhte ho ki be-kār meñ ug aate haiñ
ham nahīñ dekhte zarḳhez zamīnoñ kī taraf
ham vo paude haiñ jo dīvār meñ ug aate haiñ
jitnī raftār se tum kāTte jaate ho hameñ
phir se ham utnī hī miqdār meñ ug aate haiñ
jin ko gul-dān meñ rakhnā nahīñ aayā hai hameñ
phuul vo vahshat-e-kohsār meñ ug aate haiñ
sab ko sardārī buzurgī se nahīñ miltī hai
aise sar bhī haiñ jo dastār meñ ug aate haiñ
apne ausāf nahīñ bhūlte 'ehsān' kabhī
biij phal phuul jo ashjār meñ ug aate haiñ
ye jo hum surat-e-ashjar mein ug aate hain
tum samajhte ho ki be-kar mein ug aate hain
hum nahin dekhte zarKHez zaminon ki taraf
hum wo paude hain jo diwar mein ug aate hain
jitni raftar se tum kaTte jate ho hamein
phir se hum utni hi miqdar mein ug aate hain
jin ko gul-dan mein rakhna nahin aaya hai hamein
phul wo wahshat-e-kohsar mein ug aate hain
sab ko sardari buzurgi se nahin milti hai
aise sar bhi hain jo dastar mein ug aate hain
apne ausaf nahin bhulte 'ehsan' kabhi
bij phal phul jo ashjar mein ug aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.