ye jo har harf mere lafz ka uljha hua hai
ye jo har harf mire lafz kā uljhā huā hai
aise lagtā hai kahīñ ḳhvāb meñ sochā huā hai
kyā ye mumkin hai kisī roz use chuum sakūñ
mere māthe pe tirā naam jo likkhā huā hai
pis ga.e dard kī chakkī kī siloñ meñ mire ḳhvāb
aañkh meñ niiñd nahīñ jism bhī TuuTā huā hai
aa.ina toḌ diyā hai mirī vahshat ne magar
mere kamre meñ koī mujh sā hī bikhrā huā hai
ek din us ko utārūñgā varaq par 'fā.ez'
ek manzar jo mirī aañkh meñ aTkā huā hai
ye jo har harf mere lafz ka uljha hua hai
aise lagta hai kahin KHwab mein socha hua hai
kya ye mumkin hai kisi roz use chum sakun
mere mathe pe tera nam jo likkha hua hai
pis gae dard ki chakki ki silon mein mere KHwab
aankh mein nind nahin jism bhi TuTa hua hai
aaina toD diya hai meri wahshat ne magar
mere kamre mein koi mujh sa hi bikhra hua hai
ek din us ko utarunga waraq par 'faez'
ek manzar jo meri aankh mein aTka hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.