ye jo ek daera banaya hai
ye jo ik dā.era banāyā hai
āgahī kā sirā banāyā hai
kis ne tanhā.iyoñ ko qaid kiyā
kis ne ye aa.ina banāyā hai
maiñ ne likkhā hai bādshāh ko ḳhat
aur us meñ diyā banāyā hai
tum se kis ne kahā thā bahs karo
tum ne ḳhud mas.ala banāyā hai
jaane kis ḳhauf ke sabab us ne
ham-safar rāsta banāyā hai
us ne aaj apne aur mere liye
ek cup chaa.e kā banāyā hai
ye jo ek daera banaya hai
aagahi ka sira banaya hai
kis ne tanhaiyon ko qaid kiya
kis ne ye aaina banaya hai
main ne likkha hai baadshah ko KHat
aur us mein diya banaya hai
tum se kis ne kaha tha bahs karo
tum ne KHud masala banaya hai
jaane kis KHauf ke sabab us ne
ham-safar rasta banaya hai
us ne aaj apne aur mere liye
ek cup chae ka banaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.