ye jo ek laDki pe hain tainat pahre-dar sau
ye jo ik laḌkī pe haiñ taināt pahre-dār sau
dekhtī haiñ us kī āñkheñ bheḌiye ḳhūñ-ḳhvār sau
diqqateñ aksar vo merī bāñTtī hai is tarah
apne bakse se nikālegī abhī do chaar sau
ā.eñgī jab mushkileñ to vo bachā legā mujhe
ik bharosa degā aur karvā.egā begār sau
race meñ hogī saḌak par zindagī kī gāḌiyāñ
ek assī par chalegī ek kī raftār sau
kitnā mushkil kaam hai achchhā.iyoñ ko DhūñDhnā
yuuñ to ḳhabroñ se bhare haiñ roz hī aḳhbār sau
ye jo ek laDki pe hain tainat pahre-dar sau
dekhti hain us ki aankhen bheDiye KHun-KHwar sau
diqqaten aksar wo meri banTti hai is tarah
apne bakse se nikalegi abhi do chaar sau
aaengi jab mushkilen to wo bacha lega mujhe
ek bharosa dega aur karwaega begar sau
race mein hogi saDak par zindagi ki gaDiyan
ek assi par chalegi ek ki raftar sau
kitna mushkil kaam hai achchhaiyon ko DhunDhna
yun to KHabron se bhare hain roz hi aKHbar sau
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.