ye jo ek shaKH hai hari thi abhi
ye jo ik shāḳh hai harī thī abhī
us jagah par koī parī thī abhī
sar-basar rañg-o-nūr se labrez
ik surāhī yahāñ dharī thī abhī
ḳhaak kaisī hai mere paañv tale
saat rañgoñ kī ik darī thī abhī
is ḳharābe meñ koī aur bhī hai
aah kis ne yahāñ bharī thī abhī
sāneha koī yaañ se guzrā hai
ye fazā kyuuñ Darī Darī thī abhī
maiñ basātā thā us ke dil meñ ghar
aur qismat meñ be-gharī thī abhī
kyuuñ na karte ham us kī dildārī
us meñ kuchh ḳhū-e-dilbarī thī abhī
ye jo ek shaKH hai hari thi abhi
us jagah par koi pari thi abhi
sar-basar rang-o-nur se labrez
ek surahi yahan dhari thi abhi
KHak kaisi hai mere panw tale
sat rangon ki ek dari thi abhi
is KHarabe mein koi aur bhi hai
aah kis ne yahan bhari thi abhi
saneha koi yan se guzra hai
ye faza kyun Dari Dari thi abhi
main basata tha us ke dil mein ghar
aur qismat mein be-ghari thi abhi
kyun na karte hum us ki dildari
us mein kuchh KHu-e-dilbari thi abhi
- Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 772)
- Author : Shamsur Rahman Faruqi
- Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
- Edition : June December 2005 Issue No. 293 To 299âPart II
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.