ye jo insan hain be-shumar
ye jo insān haiñ be-shumār
in ke armān haiñ be-shumār
zindagī maiñ tujhe kyā likhūñ
tere unvān haiñ be-shumār
ai ḳhudā kar hifāzat mirī
dushman-e-jān haiñ be-shumār
merī kashtī hai TuuTī huī
aur tūfān haiñ be-shumār
baaġh meñ gul khilā ek hai
aur gul-dān haiñ be-shumār
dard dil meñ bharā hai magar
lab pe muskān haiñ be-shumār
jis pe qurbān 'anvar' ho tum
us pe qurbān haiñ be-shumār
ye jo insan hain be-shumar
in ke arman hain be-shumar
zindagi main tujhe kya likhun
tere unwan hain be-shumar
ai KHuda kar hifazat meri
dushman-e-jaan hain be-shumar
meri kashti hai TuTi hui
aur tufan hain be-shumar
bagh mein gul khila ek hai
aur gul-dan hain be-shumar
dard dil mein bhara hai magar
lab pe muskan hain be-shumar
jis pe qurban 'anwar' ho tum
us pe qurban hain be-shumar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.