ye jo kali ghaTa chhai hui hai
ye jo kaalī ghaTā chhā.ī huī hai
kisī kī zulf lahrā.ī huī hai
nazar un kī bharī mahfil meñ aa kar
na-jāne kis se sharmā.ī huī hai
ġhazab hai dilkashī husn-o-adā kī
javānī josh par aa.ī huī hai
tumhārī yaad bhī aatī nahīñ ab
na jaane kis kī bahkā.ī huī hai
hujūm-e-yās se tañg aa ke 'rif.at'
tamannā merī murjhā.ī huī hai
ye jo kali ghaTa chhai hui hai
kisi ki zulf lahrai hui hai
nazar un ki bhari mahfil mein aa kar
na-jaane kis se sharmai hui hai
ghazab hai dilkashi husn-o-ada ki
jawani josh par aai hui hai
tumhaari yaad bhi aati nahin ab
na jaane kis ki bahkai hui hai
hujum-e-yas se tang aa ke 'rifat'
tamanna meri murjhai hui hai
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 146)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.