ye jo kaam rah gae hain unhen rakh ke ja rahi hun
ye jo kaam rah gae hain unhen rakh ke ja rahi hun
Najma Shaheen Khosa
MORE BYNajma Shaheen Khosa
ye jo kaam rah ga.e haiñ unheñ rakh ke jā rahī huuñ
mirī zindagī maiñ tujh se bahut thak ke jā rahī huuñ
yahī dard ke basere yahī hijr ke añdhere
ye jo siskiyāñ haiñ saarī maiñ thapak ke jā rahī huuñ
faqat ek saañs mohlat magar imtihān itne
ye jo talḳhiyāñ thiiñ terī unheñ chakh ke jā rahī huuñ
mirī pyaas kā muqaddar to ye tishnagī hī Thahrī
ġham-e-ishq kī thī chhāgal maiñ chhalak ke jā rahī huuñ
jahāñ us ne muḌ ke dekhā vahīñ zindagī rukī thī
ye jo hairateñ haiñ dil kī maiñ jhaTak ke jā rahī huuñ
tirī ḳhushbuoñ se mahkeñ mire ḳhvāb ke jazīre
yahī aarzū thī lekin maiñ thapak ke jā rahī huuñ
tire lams se shanāsā nahīñ uñgliyāñ ye merī
tire hijr kī zamīñ par maiñ sisak ke jā rahī huuñ
mirī zindagī tū kah de kabhī jā ke chāragar se
ki ye ḳhvāb kā hai madfan maiñ bilak ke jā rahī huuñ
kisī aag meñ jalī tū kisī shaam meñ Dhalī maiñ
nahīñ ruuh to badan meñ so ThiThak ke jā rahī huuñ
ye jo kaam rah gae hain unhen rakh ke ja rahi hun
meri zindagi main tujh se bahut thak ke ja rahi hun
yahi dard ke basere yahi hijr ke andhere
ye jo siskiyan hain sari main thapak ke ja rahi hun
faqat ek sans mohlat magar imtihan itne
ye jo talKHiyan thin teri unhen chakh ke ja rahi hun
meri pyas ka muqaddar to ye tishnagi hi Thahri
gham-e-ishq ki thi chhagal main chhalak ke ja rahi hun
jahan us ne muD ke dekha wahin zindagi ruki thi
ye jo hairaten hain dil ki main jhaTak ke ja rahi hun
teri KHushbuon se mahken mere KHwab ke jazire
yahi aarzu thi lekin main thapak ke ja rahi hun
tere lams se shanasa nahin ungliyan ye meri
tere hijr ki zamin par main sisak ke ja rahi hun
meri zindagi tu kah de kabhi ja ke chaaragar se
ki ye KHwab ka hai madfan main bilak ke ja rahi hun
kisi aag mein jali tu kisi sham mein Dhali main
nahin ruh to badan mein so ThiThak ke ja rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.