ye jo lagta hai zarurat se bhi kam bolte hain
ye jo lagtā hai zarūrat se bhī kam bolte haiñ
ham ko vo shaḳhs bulātā hai to ham bolte haiñ
kaun hastī kā guzar mere ḳharābe se huā
kis tafāḳhur se yahāñ naqsh-e-qadam bolte haiñ
donoñ jānib vo anā thī ki ye naubat aa.ī
ab hameñ yaar bulāte haiñ na ham bolte haiñ
ye jo har baat pe kar dete haiñ taqrīr shurūa
ham to sunte the kabhī un ke qalam bolte haiñ
aisī bastī kī zabāñ ḳhaak maiñ samjhūñgā jahāñ
log ḳhāmosh haiñ dīnār-o-diram bolte haiñ
ye jo lagta hai zarurat se bhi kam bolte hain
hum ko wo shaKHs bulata hai to hum bolte hain
kaun hasti ka guzar mere KHarabe se hua
kis tafaKHur se yahan naqsh-e-qadam bolte hain
donon jaanib wo ana thi ki ye naubat aai
ab hamein yar bulate hain na hum bolte hain
ye jo har baat pe kar dete hain taqrir shurua
hum to sunte the kabhi un ke qalam bolte hain
aisi basti ki zaban KHak main samjhunga jahan
log KHamosh hain dinar-o-diram bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.