ye jo lambi raat hai yaro
ye jo lambī raat hai yaaro
kuchh hī din kī baat hai yaaro
ḳhāmoshī kā shor se rishta
ye bhī ajab sī baat hai yaaro
daaġh diloñ ke dhul jā.eñge
āñkhoñ meñ barsāt hai yaaro
paas na māyūsī aa jaa.e
insāñ ke liye ye maat hai yaaro
shikva nahīñ kuchh mushtāq sadaf ko
kam se kam vo saath hai yaaro
ye jo lambi raat hai yaro
kuchh hi din ki baat hai yaro
KHamoshi ka shor se rishta
ye bhi ajab si baat hai yaro
dagh dilon ke dhul jaenge
aankhon mein barsat hai yaro
pas na mayusi aa jae
insan ke liye ye mat hai yaro
shikwa nahin kuchh mushtaq sadaf ko
kam se kam wo sath hai yaro
- Book : Badal Gai Koi Shai (Pg. 117)
- Author : Dr. Mushtaque Sadaf
- Publication : Swaraj Prakashan, New Delhi (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.