ye jo meri lai aur lafzon ke rangin tane-bane hain
ye jo mirī lai aur lafzoñ ke rañgīñ tāne-bāne haiñ
sunñe vāloñ ġhaur na karnā saare raag purāne haiñ
sunñe vaalo ġhaur na karnā varna khul hī jā.eñge
kitne ḳhālī bhed hamāre jo kab se afsāne haiñ
sunñe vāloñ ġhaur na karnā varna pata chal jā.egā
ham ne jitne baaġh sajā.e vo ab tak vīrāne haiñ
sunñe vaalo ġhaur na karnā varna saaf samajh loge
ham ne jitne naam liye the aaj bhī sab anjāne haiñ
sunñe vaalo ġhaur na karnā varna ḳhafā ho jāoge
jin ko ham ne dost kahā hai ham un se begāne haiñ
sunñe vaalo ġhaur na karnā varna hameñ Thukrā doge
ham andar se saḳht kamīne bāhar se dīvāne haiñ
sunñe vaalo ġhaur na karnā ham be-sar ho jā.eñge
jab tak tum sar dhunte rahoge saare giit suhāne haiñ
sunñe vaalo ġhaur na karnā varna ham ḳhud kah deñge
ham ab sher nahīñ kah sakte ye sab sher bahāne haiñ
ye jo meri lai aur lafzon ke rangin tane-bane hain
sunne walon ghaur na karna sare rag purane hain
sunne walo ghaur na karna warna khul hi jaenge
kitne KHali bhed hamare jo kab se afsane hain
sunne walon ghaur na karna warna pata chal jaega
hum ne jitne bagh sajae wo ab tak virane hain
sunne walo ghaur na karna warna saf samajh loge
hum ne jitne nam liye the aaj bhi sab anjaane hain
sunne walo ghaur na karna warna KHafa ho jaoge
jin ko hum ne dost kaha hai hum un se begane hain
sunne walo ghaur na karna warna hamein Thukra doge
hum andar se saKHt kamine bahar se diwane hain
sunne walo ghaur na karna hum be-sar ho jaenge
jab tak tum sar dhunte rahoge sare git suhane hain
sunne walo ghaur na karna warna hum KHud kah denge
hum ab sher nahin kah sakte ye sab sher bahane hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.