ye jo mujhko gira diya gaya hai
ye jo mujh ko girā diyā gayā hai
aap ko rāsta diyā gayā hai
koī terī misāl hī na rahe
aa.ina bhī haTā diyā gayā hai
dukh to ye hai tire bichhaḌne kā dukh
āñsuoñ meñ bahā diyā gayā hai
ek dil hī thā zau-fishāñ sar-e-shām
ye diyā bhī bujhā diyā gayā hai
mujh ko is dasht-e-ishq meñ 'shahzād'
qais kā martaba diyā gayā hai
ye jo mujh ko gira diya gaya hai
aap ko rasta diya gaya hai
koi teri misal hi na rahe
aaina bhi haTa diya gaya hai
dukh to ye hai tere bichhaDne ka dukh
aansuon mein baha diya gaya hai
ek dil hi tha zau-fishan sar-e-sham
ye diya bhi bujha diya gaya hai
mujh ko is dasht-e-ishq mein 'shahzad'
qais ka martaba diya gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.