Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jo mujh mein azab hai pyare

Navneet Sharma

ye jo mujh mein azab hai pyare

Navneet Sharma

MORE BYNavneet Sharma

    ye jo mujh meñ azaab hai pyāre

    us chup javāb hai pyāre

    aas ab āsmāñ se rakkhī hai

    chhat mausam ḳharāb hai pyāre

    ashk aaheñ ḳhushī Thahāke saath

    zindagī vo kitāb hai pyāre

    pyaar agar hai to is had paanā

    sabse mushkil hisāb hai pyāre

    kaT chukī haiñ tamām zanjīreñ

    phir bhī ḳhāna-ḳharāb hai pyāre

    kaun terā hai kis hai bhī

    aisā koī hisāb hai pyāre

    dil meñ chhap kar bhī ḳhushbueñ degī

    har tamannā gulāb hai pyāre

    ye jo mujh mein azab hai pyare

    us ki chup ka jawab hai pyare

    aas ab aasman se rakkhi hai

    chhat ka mausam KHarab hai pyare

    ashk aahen KHushi Thahake sath

    zindagi wo kitab hai pyare

    pyar agar hai to is ki had pana

    sabse mushkil hisab hai pyare

    kaT chuki hain tamam zanjiren

    phir bhi KHana-KHarab hai pyare

    kaun tera hai kis ka hai tu bhi

    aisa koi hisab hai pyare

    dil mein chhap kar bhi KHushbuen degi

    har tamanna gulab hai pyare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now