ye jo mujh par nikhaar hai sain
ye jo mujh par nikhār hai sā.īñ
aap hī kī bahār hai sā.īñ
aap chāheñ to jaan bhī le leñ
aap ko iḳhtiyār hai sā.īñ
tum milāte ho bichhḌe logoñ ko
ek merā bhī yaar hai sā.īñ
kisī khūñTī se bāñdh diije use
dil baḌā be-mahār hai sā.īñ
'ishq meñ laġhzishoñ pe kiije mu'āf
sā.īñ ye pahlī baar hai sā.īñ
kul milā kar hai jo bhī kuchh merā
aap se musta'ār hai sā.īñ
ek kashtī banā hī diije mujhe
koī dariyā ke paar hai sā.īñ
roz aañsū kamā ke laatā huuñ
ġham mirā rozgār hai sā.īñ
vus.at-e-rizq kī du'ā diije
dard kā kārobār hai sā.īñ
ḳhār-zāroñ se ho ke aayā huuñ
pairahan tār-tār hai sā.īñ
kabhī aa kar to dekhiye ki ye dil
kaisā ujḌā dayār hai sā.īñ
ye jo mujh par nikhaar hai sain
aap hi ki bahaar hai sain
aap chahen to jaan bhi le len
aap ko iKHtiyar hai sain
tum milate ho bichhDe logon ko
ek mera bhi yar hai sain
kisi khunTi se bandh dije use
dil baDa be-mahaar hai sain
'ishq mein laghzishon pe kije mu'af
sain ye pahli bar hai sain
kul mila kar hai jo bhi kuchh mera
aap se musta'ar hai sain
ek kashti bana hi dije mujhe
koi dariya ke par hai sain
roz aansu kama ke lata hun
gham mera rozgar hai sain
wusat-e-rizq ki du'a dije
dard ka karobar hai sain
KHar-zaron se ho ke aaya hun
pairahan tar-tar hai sain
kabhi aa kar to dekhiye ki ye dil
kaisa ujDa dayar hai sain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.