Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jo rabt ru-ba-zawal hai ye sawal hai

Shahid Latif

ye jo rabt ru-ba-zawal hai ye sawal hai

Shahid Latif

MORE BYShahid Latif

    ye jo rabt rū-ba-zavāl hai ye savāl hai

    mujhe is kitnā malāl hai ye savāl hai

    ye jo sar pe mere vabāl hai ye savāl hai

    ye jo gird-o-pesh haal hai ye savāl hai

    mujhe kyā ġharaz mire dushmanoñ hadaf hai kyā

    mire paas kaun Dhaal hai ye savāl hai

    mire saare ḳhvāb haiñ mo'tabar maiñ huuñ dar-ba-dar

    ye uruuj hai ki zavāl hai ye savāl hai

    mire haath shal mire paañv shal mirī aql gum

    koī aur itnā niDhāl hai ye savāl hai

    mirā maazī kitnā amiir thā maiñ ġharīb huuñ

    koī ye bhī māzī-o-hāl hai ye savāl hai

    koī hai jo mujh aziim ho jo fahīm ho

    ye savāl koī savāl hai ye savāl hai

    na.e ahd ye taraqqīyāñ ye tajalliyāñ

    koī is meñ merā kamāl hai ye savāl hai

    vo sadā na thī vo to jazb thā vo to ishq thā

    mirī saf meñ koī bilāl hai ye savāl hai

    ye jo rabt ru-ba-zawal hai ye sawal hai

    mujhe is ka kitna malal hai ye sawal hai

    ye jo sar pe mere wabaal hai ye sawal hai

    ye jo gird-o-pesh ka haal hai ye sawal hai

    mujhe kya gharaz mere dushmanon ka hadaf hai kya

    mere pas kaun si Dhaal hai ye sawal hai

    mere sare KHwab hain mo'tabar main hun dar-ba-dar

    ye uruj hai ki zawal hai ye sawal hai

    mere hath shal mere panw shal meri aql gum

    koi aur itna niDhaal hai ye sawal hai

    mera mazi kitna amir tha main gharib hun

    koi ye bhi mazi-o-haal hai ye sawal hai

    koi hai jo mujh sa azim ho jo fahim ho

    ye sawal koi sawal hai ye sawal hai

    nae ahd ki ye taraqqiyan ye tajalliyan

    koi is mein mera kamal hai ye sawal hai

    wo sada na thi wo to jazb tha wo to ishq tha

    meri saf mein koi bilal hai ye sawal hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now