ye jo rah rah ke dhuan uThta hai
ye jo rah rah ke dhuāñ uThtā hai
aag bhī hogī jahāñ uThtā hai
dil ke pahlū meñ bhī ik dil hai zarūr
ek se ġham ye kahāñ uThtā hai
aa hī jā.eñge siyāsī gidh bhī
shahr meñ amn-o-amāñ uThtā hai
ai ḳhudā ab kahāñ jā.eñge sanam
parda-e-kāba-e-jāñ uThtā hai
baal chāñdī se haiñ phir bhī aksar
dil pe ik naqsh-e-javāñ uThtā hai
tum se kyā nāz-e-bahār uTThegā
tum se kab barg-e-ḳhizāñ uThtā hai
ye jo rah rah ke dhuan uThta hai
aag bhi hogi jahan uThta hai
dil ke pahlu mein bhi ek dil hai zarur
ek se gham ye kahan uThta hai
aa hi jaenge siyasi gidh bhi
shahr mein amn-o-aman uThta hai
ai KHuda ab kahan jaenge sanam
parda-e-kaba-e-jaan uThta hai
baal chandi se hain phir bhi aksar
dil pe ek naqsh-e-jawan uThta hai
tum se kya naz-e-bahaar uTThega
tum se kab barg-e-KHizan uThta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.