ye jo rishta hai mera miTTi se
ye jo rishta hai merā miTTī se
ruup saarā hai merā miTTī se
sabza kahtā hai luuTe jaao mujhe
dil kushāda hai merā miTTī se
maiñ sitārā nahīñ huuñ sūraj huuñ
gahrā rishta hai merā miTTī se
maiñ to ḳhud-rav daraḳht huuñ lekin
peT bhartā hai merā miTTī se
mutma.in huuñ ki fasl achchhī hai
siina ThanDā hai merā miTTī se
har havelī meñ diip raushan hai
gaañv zinda hai merā miTTī se
jo kahūñgā vo sach kahūñgā 'ḳhalīl'
kyūñki rishta hai merā miTTī se
ye jo rishta hai mera miTTi se
rup sara hai mera miTTi se
sabza kahta hai luTe jao mujhe
dil kushada hai mera miTTi se
main sitara nahin hun suraj hun
gahra rishta hai mera miTTi se
main to KHud-raw daraKHt hun lekin
peT bharta hai mera miTTi se
mutmain hun ki fasl achchhi hai
sina ThanDa hai mera miTTi se
har haweli mein dip raushan hai
ganw zinda hai mera miTTi se
jo kahunga wo sach kahunga 'KHalil'
kyunki rishta hai mera miTTi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.