ye jo sar hum teri chaukhaT se lagae hue hain
ye jo sar ham tirī chaukhaT se lagā.e hue haiñ
ye samajh le ki zamāne ke satā.e hue haiñ
ham ne is dil ko kahīñ aur lagāyā huā hai
aur ye haath kahīñ aur uThā.e hue haiñ
tujhe dekhūñ to mujhe yaad ye kaun aatā hai
tū ne ye rañg bhalā kis ke churā.e hue haiñ
kār-e-duniyā ne hameñ mohlat-e-yak-ḳhvāb na dī
so kahīñ kho.e hue haiñ na hī paa.e hue haiñ
ham hī kuchh gosh-bar-āvāz nahīñ the varna
tum ne pahle bhī yahī bol sunā.e hue haiñ
kis liye yaad dilāte ho abhī rahne do
kyā huā ham jo koī baat bhulā.e hue haiñ
kaam jo ham se nahīñ hogā kiye jaate haiñ
ham se uThtā jo nahīñ bojh uThā.e hue haiñ
dekhne kī tujhe kuchh dil meñ hai hasrat bhī abhī
aur ye bhī ki tire shahr meñ aa.e hue haiñ
ye jo sar hum teri chaukhaT se lagae hue hain
ye samajh le ki zamane ke satae hue hain
hum ne is dil ko kahin aur lagaya hua hai
aur ye hath kahin aur uThae hue hain
tujhe dekhun to mujhe yaad ye kaun aata hai
tu ne ye rang bhala kis ke churae hue hain
kar-e-duniya ne hamein mohlat-e-yak-KHwab na di
so kahin khoe hue hain na hi pae hue hain
hum hi kuchh gosh-bar-awaz nahin the warna
tum ne pahle bhi yahi bol sunae hue hain
kis liye yaad dilate ho abhi rahne do
kya hua hum jo koi baat bhulae hue hain
kaam jo hum se nahin hoga kiye jate hain
hum se uThta jo nahin bojh uThae hue hain
dekhne ki tujhe kuchh dil mein hai hasrat bhi abhi
aur ye bhi ki tere shahr mein aae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.