ye jo subh ke bich diwar-e-shab si uThi lagti hai
ye jo sub.h ke biich dīvār-e-shab sī uThī lagtī hai
hai aks-e-tahayyur kī ye dāstāñ aur sunī lagtī hai
jo maiñ ḳhvāhishoñ meñ ghirī chup bharī sā.ateñ taktī huuñ
mujhe un ke andar talak tirī ḳhvāhish gaḌī lagtī hai
tirā vird kartī huī āsmāñ se utartī huī
koī nuur jaisī du'ā chār-sū gūñjtī lagtī hai
mire aa.ine meñ jo tasvīr terī ubhar aa.ī hai
ye jhuTlāne se fā.eda? mujh ko ye raushnī lagtī hai
faqat mere chehre pe hī rañg khil ke nahīñ utre haiñ
shafaq shaam kī merī āñkhoñ se bhī jhāñktī lagtī hai
ye jo subh ke bich diwar-e-shab si uThi lagti hai
hai aks-e-tahayyur ki ye dastan aur suni lagti hai
jo main KHwahishon mein ghiri chup bhari saaten takti hun
mujhe un ke andar talak teri KHwahish gaDi lagti hai
tera wird karti hui aasman se utarti hui
koi nur jaisi du'a chaar-su gunjti lagti hai
mere aaine mein jo taswir teri ubhar aai hai
ye jhuTlane se faeda? mujh ko ye raushni lagti hai
faqat mere chehre pe hi rang khil ke nahin utre hain
shafaq sham ki meri aankhon se bhi jhankti lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.