ye jo suna ek din wo haweli yaksar be-asar giri
ye jo sunā ik din vo havelī yaksar be-āsār girī
ham jab bhī saa.e meñ baiThe dil par ik dīvār girī
jūñhī muḌ kar dekhā maiñ ne biich uThī thī ik dīvār
bas yuuñ samjho mere uupar bijlī sī ik baar girī
dhaar pe baaḌ rakhī jaa.e aur ham us ke ghāyal Thahreñ
maiñ ne dekhā aur nazroñ se un palkoñ kī dhaar girī
girne vaalī un ta.amīroñ meñ bhī ek salīqa thā
tum īñToñ kī pūchh rahe ho miTTī tak hamvār girī
bedārī ke bistar par maiñ un ke ḳhvāb sajātā huuñ
niiñd bhī jin kī TaaT ke uupar ḳhvāboñ se nādār girī
ḳhuub hī thī vo qaum-e-shahīdāñ ya.anī sab be-zaḳhm-o-ḳharāsh
maiñ bhī us saf meñ thā shāmil vo saf jo be-vār girī
har lamha ghamsān kā ran hai kaun apne ausān meñ hai
kaun hai ye? achchhā to maiñ huuñ laash to haañ ik yaar girī
ye jo suna ek din wo haweli yaksar be-asar giri
hum jab bhi sae mein baiThe dil par ek diwar giri
junhi muD kar dekha main ne bich uThi thi ek diwar
bas yun samjho mere upar bijli si ek bar giri
dhaar pe baD rakhi jae aur hum us ke ghayal Thahren
main ne dekha aur nazron se un palkon ki dhaar giri
girne wali un tamiron mein bhi ek saliqa tha
tum inTon ki puchh rahe ho miTTi tak hamwar giri
bedari ke bistar par main un ke KHwab sajata hun
nind bhi jin ki TaT ke upar KHwabon se nadar giri
KHub hi thi wo qaum-e-shahidan yani sab be-zaKHm-o-KHarash
main bhi us saf mein tha shamil wo saf jo be-war giri
har lamha ghamsan ka ran hai kaun apne ausan mein hai
kaun hai ye? achchha to main hun lash to han ek yar giri
- Book : yani (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.