ye jo suraj hai ye jab sham ko Dhal jata hai
ye jo sūraj hai ye jab shaam ko Dhal jaatā hai
jo chamaktā huā manzar hai badal jaatā hai
koī ġham-ḳhāna-e-duniyā meñ Thahartā hī nahīñ
aaj jo paañv yahāñ dhartā hai kal jaatā hai
bujhne lagtī hai damakte hue mahtāb kī lau
jab charāg-e-ruḳh-e-raushan tirā jal jaatā hai
yuuñ to sab chalte haiñ manzil kī taraf saath magar
jo Thahartā nahīñ vo aage nikal jaatā hai
'ishq jaisā koī rishta nahīñ tujh se lekin
tū jo aa jaatā hai dil merā bahal jaatā hai
roz talvār laTaktī hai mirī gardan par
roz ḳhatra mire mar jaane kā Tal jaatā hai
sab haiñ zālim kī kamānoñ ke nishāne pe magar
hai jo shā.ista-e-nāvak vo sañbhal jaatā hai
she'r meñ shor na misre' meñ talātum hai 'anīs'
kuchh to kar varna ye uslūb-e-ġhazal jaatā hai
ye jo suraj hai ye jab sham ko Dhal jata hai
jo chamakta hua manzar hai badal jata hai
koi gham-KHana-e-duniya mein Thaharta hi nahin
aaj jo panw yahan dharta hai kal jata hai
bujhne lagti hai damakte hue mahtab ki lau
jab charag-e-ruKH-e-raushan tera jal jata hai
yun to sab chalte hain manzil ki taraf sath magar
jo Thaharta nahin wo aage nikal jata hai
'ishq jaisa koi rishta nahin tujh se lekin
tu jo aa jata hai dil mera bahal jata hai
roz talwar laTakti hai meri gardan par
roz KHatra mere mar jaane ka Tal jata hai
sab hain zalim ki kamanon ke nishane pe magar
hai jo shaista-e-nawak wo sanbhal jata hai
she'r mein shor na misre' mein talatum hai 'anis'
kuchh to kar warna ye uslub-e-ghazal jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.