ye jo surat pe teri gham sa hai Thahra maham
ye jo sūrat pe tirī ġham sā hai Thahrā 'māham'
aisā hotā hai bhalā chāñd kā chehra 'māham'
ham to samjhe the sahar ab to huī jaatī hai
raat kā rang magar ab bhī hai gahrā 'māham'
log rātoñ meñ bhī phirte haiñ jo be-ḳhaufī se
tere hī sar pe to jaatā hai ye sehrā 'māham'
kabhī tārīkiyoñ meñ ye bhī hai sochā tum ne
kab talak degā yuñhī raat kā pahrā 'māham'
ye jo surat pe teri gham sa hai Thahra 'maham'
aisa hota hai bhala chand ka chehra 'maham'
hum to samjhe the sahar ab to hui jati hai
raat ka rang magar ab bhi hai gahra 'maham'
log raaton mein bhi phirte hain jo be-KHaufi se
tere hi sar pe to jata hai ye sehra 'maham'
kabhi tarikiyon mein ye bhi hai socha tum ne
kab talak dega yunhi raat ka pahra 'maham'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.