Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jo teri aankhon mein mani-e-wafa sa hai

Zafar Ansari Zafar

ye jo teri aankhon mein mani-e-wafa sa hai

Zafar Ansari Zafar

MORE BYZafar Ansari Zafar

    ye jo terī āñkhoñ meñ ma.anī-e-vafā hai

    kāsa-e-tamannā ke harf-e-mudda.ā hai

    mere ḳhuun surḳhī surḳhī-e-vafā Thahrī

    jis se rū-e-qātil bhī surḳh-rū banā hai

    qatl-gāh-e-armāñ hai jis mahfil-e-ishrat

    vo nigār-e-fitna-zā paikar-e-vafā hai

    jab se mujh ko hāsil hai tere qurb daulat

    naqsh-e-sañg-e-pā.inda mujh pe aa.ina hai

    lafz aur ma.anī ye ta.alluq-e-bāham

    pesh-e-dīda-e-bīnā rishta-e-vafā hai

    raḳhsh-e-fikr ko apne kījiye zarā mahmez

    nau-ba-nau mazāmīñ dar abhī khulā hai

    bāb-e-shahr-e-irfāñ ke nūr-e-chashm hai faiz

    parcham-e-jahūl-e-vaqt jo jhukā jhukā hai

    dushmanoñ ke narġhe meñ maiñ khaḌā huuñ tanhā

    ma.arka mohabbat jañg-e-karbalā hai

    hoñT tere phūloñ se baat terī ḳhushbū

    ruup chāñd terā dil bhī aa.ina hai

    parcham-e-mohabbat hai jab se mere hāthoñ meñ

    dard dil-nashīñ hai zaḳhm dil-rubā hai

    dam meñ sar uThātā hai dam meñ TuuT jaatā hai

    dil bhī bahr-e-ulfat meñ koī bulbulā hai

    shor-e-hashr barpā hai ki shor-e-tanhā.ī

    haiñ bujhī bujhī āñkheñ dil Darā Darā hai

    vo nigāh-e-jānāñ ġhamza-e-balā-an.gez

    mus.haf-e-mohabbat ke harf-e-ibtidā hai

    mere dil ḳhātir to ye fasāna-e-hastī

    zaḳhm-e-be-rafū hai dard-e-lā-davā hai

    bas tirī nigāhoñ meñ ehtijāj hai bātil

    har jafā munāsib har sitam ravā hai

    niiñd kyuuñ nahīñ aatī ḳhvāb ḳhvāb āñkhoñ ko

    shahr-e-jāñ meñ har jānib kyuuñ ye rat-jagā hai

    chehra-e-mohabbat par hai usī se tābānī

    ye ġhubār pā-e-nāz ġhāza-e-vafā hai

    mujh ko mil jā.egī ik na ek din manzil

    bas isī tavaqqo par dil meñ hausla hai

    kaun hai jo rakhtā hai dost is qadar mujh ko

    ajnabī duniyā meñ kaun āshnā hai

    ai 'zafar' na chhoḌegā vo mujhe duā denā

    yuuñ to hai vo barham yuuñ to vo ḳhafā hai

    ye jo teri aankhon mein mani-e-wafa sa hai

    kasa-e-tamanna ke harf-e-muddaa sa hai

    mere KHun ki surKHi surKHi-e-wafa Thahri

    jis se ru-e-qatil bhi surKH-ru bana sa hai

    qatl-gah-e-arman hai jis ki mahfil-e-ishrat

    wo nigar-e-fitna-za paikar-e-wafa sa hai

    jab se mujh ko hasil hai tere qurb ki daulat

    naqsh-e-sang-e-painda mujh pe aaina sa hai

    lafz aur mani ka ye talluq-e-baham

    pesh-e-dida-e-bina rishta-e-wafa sa hai

    raKHsh-e-fikr ko apne kijiye zara mahmez

    nau-ba-nau mazamin ka dar abhi khula sa hai

    bab-e-shahr-e-irfan ke nur-e-chashm ka hai faiz

    parcham-e-jahul-e-waqt jo jhuka jhuka sa hai

    dushmanon ke narghe mein main khaDa hun tanha sa

    marka mohabbat ka jang-e-karbala sa hai

    honT tere phulon se baat teri KHushbu si

    rup chand sa tera dil bhi aaina sa hai

    parcham-e-mohabbat hai jab se mere hathon mein

    dard dil-nashin sa hai zaKHm dil-ruba sa hai

    dam mein sar uThata hai dam mein TuT jata hai

    dil bhi bahr-e-ulfat mein koi bulbula sa hai

    shor-e-hashr barpa hai ya ki shor-e-tanhai

    hain bujhi bujhi aankhen dil Dara Dara sa hai

    wo nigah-e-jaanan ka ghamza-e-bala-angez

    mushaf-e-mohabbat ke harf-e-ibtida sa hai

    mere dil ki KHatir to ye fasana-e-hasti

    zaKHm-e-be-rafu sa hai dard-e-la-dawa sa hai

    bas teri nigahon mein ehtijaj hai baatil

    har jafa munasib si har sitam rawa sa hai

    nind kyun nahin aati KHwab KHwab aankhon ko

    shahr-e-jaan mein har jaanib kyun ye rat-jaga sa hai

    chehra-e-mohabbat par hai usi se tabani

    ye ghubar pa-e-naz ghaza-e-wafa sa hai

    mujh ko mil hi jaegi ek na ek din manzil

    bas isi tawaqqo par dil mein hausla sa hai

    kaun hai jo rakhta hai dost is qadar mujh ko

    ajnabi si duniya mein kaun aashna sa hai

    ai 'zafar' na chhoDega wo mujhe dua dena

    yun to hai wo barham sa yun to wo KHafa sa hai

    Source :
    • Book : Sharar-e-sang (Pg. 62)
    • Author : Zafar Ansari Zafar
    • Publication : Educational Publishing House (2015)
    • Edition : 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now