ye jo Thahra hua manzar hai badalta hi nahin
ye jo Thahrā huā manzar hai badaltā hī nahīñ
vāqi'a parda-e-sā.at se nikaltā hī nahīñ
aag se tez koī chiiz kahāñ se lā.ūñ
mom se narm hai vo aur pighaltā hī nahīñ
ye mirī ḳhams-havāsī kī tamāshā-gāheñ
tang haiñ un meñ mirā shauq bahaltā hī nahīñ
paikar-e-ḳhāk haiñ aur ḳhaak meñ hai saql bahut
jism kā vazn talab ham se sañbhaltā hī nahīñ
ġhāliban vaqt mujhe chhoḌ gayā hai pīchhe
ye jo sikka hai mirī jeb meñ chaltā hī nahīñ
ham pe ġhazleñ bhī namāzoñ kī tarah farz huiiñ
qarz nā-ḳhvāsta aisā hai ki Taltā hī nahīñ
ye jo Thahra hua manzar hai badalta hi nahin
waqi'a parda-e-saat se nikalta hi nahin
aag se tez koi chiz kahan se laun
mom se narm hai wo aur pighalta hi nahin
ye meri KHams-hawasi ki tamasha-gahen
tang hain un mein mera shauq bahalta hi nahin
paikar-e-KHak hain aur KHak mein hai saql bahut
jism ka wazn talab hum se sanbhalta hi nahin
ghaaliban waqt mujhe chhoD gaya hai pichhe
ye jo sikka hai meri jeb mein chalta hi nahin
hum pe ghazlen bhi namazon ki tarah farz huin
qarz na-KHwasta aisa hai ki Talta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.