ye jo tum dekh rahe ho KHas-o-KHashak pe KHak
ye jo tum dekh rahe ho ḳhas-o-ḳhāshāk pe ḳhaak
is se baḌh kar hai mirī ḳhvāhish-e-sad-chāk pe ḳhaak
gar koī ḳhvāb nahīñ hai mirī āñkhoñ meñ to phir
mere sāmān pe hasrat mirī imlāk pe ḳhaak
maiñ ne uḌne hī nahīñ dī hai rah-e-ishq meñ gard
maiñ ne paḌne hī nahīñ dī tirī poshāk pe ḳhaak
nisbat-e-ḳhāk pe sharmindagī kyoñ ho mujh ko
dastakeñ detī hai jā kar dar-e-laulāk pe ḳhaak
ye jo taḳhsīs-e-zan-o-mard hai ye vahm hai bas
tum mujhe dekhnā jab pahuñche mirī chaak pe ḳhaak
ye jo hai aadmī kā azm-e-safar is ke tufail
nazar aa.egī kisī din rah-e-aflāk pe ḳhaak
yuuñ bhī tum kyā ho faqat ḳhaak 'tabassum' biibī
aur phir baiThnī hai aa ke kal is ḳhaak pe ḳhaak
ye jo tum dekh rahe ho KHas-o-KHashak pe KHak
is se baDh kar hai meri KHwahish-e-sad-chaak pe KHak
gar koi KHwab nahin hai meri aankhon mein to phir
mere saman pe hasrat meri imlak pe KHak
main ne uDne hi nahin di hai rah-e-ishq mein gard
main ne paDne hi nahin di teri poshak pe KHak
nisbat-e-KHak pe sharmindagi kyon ho mujh ko
dastaken deti hai ja kar dar-e-laulak pe KHak
ye jo taKHsis-e-zan-o-mard hai ye wahm hai bas
tum mujhe dekhna jab pahunche meri chaak pe KHak
ye jo hai aadmi ka azm-e-safar is ke tufail
nazar aaegi kisi din rah-e-aflak pe KHak
yun bhi tum kya ho faqat KHak 'tabassum' bibi
aur phir baiThni hai aa ke kal is KHak pe KHak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.