ye jo TuTe se hain alfaz sabhi mere hain
ye jo TuuTe se haiñ alfāz sabhī mere haiñ
jitne bikhre haiñ yahāñ saaz sabhī mere haiñ
aaj ke daur-e-zabāñ-bandī meñ mujh ko ab tak
de rahe haiñ jo ik āvāz sabhī mere haiñ
hukmrāñ nangā hai lekin ye kahe phirtā hai
resham o atlas o kam-ḳhvāb sabhī mere haiñ
ik zamāne se kaleje se rakhā hai in ko
dil meñ pinhāñ haiñ jo sab raaz sabhī mere haiñ
naġhma-zan jo the yahāñ aaj vo haiñ jaan ba-lab
jo bhī haiñ giit ke dam-sāz sabhī mere haiñ
zaat kī ek bulandī pe pahuñchne ke liye
bhīge par se jo haiñ parvāz sabhī mere haiñ
haañ isī tarah se ik umr guzārī hai 'naved'
chāhe jaise huuñ ye andāz sabhī mere haiñ
ye jo TuTe se hain alfaz sabhi mere hain
jitne bikhre hain yahan saz sabhi mere hain
aaj ke daur-e-zaban-bandi mein mujh ko ab tak
de rahe hain jo ek aawaz sabhi mere hain
hukmran nanga hai lekin ye kahe phirta hai
resham o atlas o kam-KHwab sabhi mere hain
ek zamane se kaleje se rakha hai in ko
dil mein pinhan hain jo sab raaz sabhi mere hain
naghma-zan jo the yahan aaj wo hain jaan ba-lab
jo bhi hain git ke dam-saz sabhi mere hain
zat ki ek bulandi pe pahunchne ke liye
bhige par se jo hain parwaz sabhi mere hain
han isi tarah se ek umr guzari hai 'nawed'
chahe jaise hun ye andaz sabhi mere hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.