ye junun-e-ishq kaam aa hi gaya
ye junūn-e-ishq kaam aa hī gayā
un ke dīvānoñ meñ naam aa hī gayā
ārzū-e-pā.emālī muzhda-bād
vo but-e-mahshar-ḳhirām aa hī gayā
al-madad shauq-e-shahādat phir koī
le ke teġh-e-be-niyām aa hī gayā
go tahī thā maiñ usī par shaad huuñ
mujh tak āḳhir daur-e-jām aa hī gayā
lo uThe parde harīm-e-nāz kai
lo vo hukm-e-qatl-e-ām aa hī gayā
uTh ga.ī āḳhir nigāh-e-sharmagīñ
jazb-e-dil ik roz kaam aa hī gayā
chashm-e-qātil ne ishāra kar dayā
hasratoñ kā iḳhtitām aa hī gayā
intihā-e-rañj meñ terā ḳhayāl
ban ke rāhat kā payām aa hī gayā
ho ga.ī maqbūl rindoñ kī duā
dekh lo gardish meñ jaam aa hī gayā
ārzūoñ par lagā dī bandisheñ
ham ko dil kā intizām aa hī gayā
ban gayā 'nāmī' ġhubār-e-rāh-e-dost
kuchh dil-e-marhūm kaam aa hī gayā
ye junun-e-ishq kaam aa hi gaya
un ke diwanon mein nam aa hi gaya
aarzu-e-paemali muzhda-baad
wo but-e-mahshar-KHiram aa hi gaya
al-madad shauq-e-shahadat phir koi
le ke tegh-e-be-niyam aa hi gaya
go tahi tha main usi par shad hun
mujh tak aaKHir daur-e-jam aa hi gaya
lo uThe parde harim-e-naz kai
lo wo hukm-e-qatl-e-am aa hi gaya
uTh gai aaKHir nigah-e-sharmagin
jazb-e-dil ek roz kaam aa hi gaya
chashm-e-qatil ne ishaara kar daya
hasraton ka iKHtitam aa hi gaya
intiha-e-ranj mein tera KHayal
ban ke rahat ka payam aa hi gaya
ho gai maqbul rindon ki dua
dekh lo gardish mein jam aa hi gaya
aarzuon par laga di bandishen
hum ko dil ka intizam aa hi gaya
ban gaya 'nami' ghubar-e-rah-e-dost
kuchh dil-e-marhum kaam aa hi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.