ye junun hi sahi pura magar arman kar do
ye junūñ hī sahī puurā magar armāñ kar do
apne hāthoñ se mirā chaak garebāñ kar do
baat to jab hai ki begāna-e-darmāñ kar do
ab pareshāñ hī kiyā hai to pareshāñ kar do
nashtar-e-nīm-nigāhī kī qasam hai tum ko
dil ke har zaḳhm ko tasvīr-e-gulistāñ kar do
tum samā jaao mirī ruuh meñ naġhma ban kar
aao sāz-e-dil-e-ġhamgīñ ko ġhazal-ḳhvāñ kar do
yā to tum hadd-e-ta.ayyun pe raho jalva-faroz
yā mirī tāb-e-nazar tā-had-e-imkāñ kar do
naza.a kā vaqt hai aa jaao ayādat ke liye
tum 'shifā' par dam-e-āḳhir yahī ehsāñ kar do
ye junun hi sahi pura magar arman kar do
apne hathon se mera chaak gareban kar do
baat to jab hai ki begana-e-darman kar do
ab pareshan hi kiya hai to pareshan kar do
nashtar-e-nim-nigahi ki qasam hai tum ko
dil ke har zaKHm ko taswir-e-gulistan kar do
tum sama jao meri ruh mein naghma ban kar
aao saz-e-dil-e-ghamgin ko ghazal-KHwan kar do
ya to tum hadd-e-tayyun pe raho jalwa-faroz
ya meri tab-e-nazar ta-had-e-imkan kar do
naza ka waqt hai aa jao ayaadat ke liye
tum 'shifa' par dam-e-aKHir yahi ehsan kar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.