ye kaba ye kashi haram dekhte hain
ye ka.aba ye kāshī haram dekhte haiñ
ki apnā ḳhudā tujh meñ ham dekhte haiñ
zamāne ke sab ḳhūbsūrat nazāre
tumhārī hī āñkhoñ se ham dekhte haiñ
nahīñ kuchh bharosa hameñ agle pal kā
nazar bhar ke tum ko sanam dekhte haiñ
tirī intizārī se uktā gayā dil
tirī raah muddat se ham dekhte haiñ
yahī nasl-e-nau kā tarīqa hai logoñ
alag zāviye se qalam dekhte haiñ
hamārī ġhazal ho ga.ī kahkashāñ na
jahāñ tak sitāroñ ko ham dekhte haiñ
ġhazal le rahī hai na.ī ek karvaT
ye 'dushyant' 'ġhālib' adam dekhte hai
ye kaba ye kashi haram dekhte hain
ki apna KHuda tujh mein hum dekhte hain
zamane ke sab KHubsurat nazare
tumhaari hi aankhon se hum dekhte hain
nahin kuchh bharosa hamein agle pal ka
nazar bhar ke tum ko sanam dekhte hain
teri intizari se ukta gaya dil
teri rah muddat se hum dekhte hain
yahi nasl-e-nau ka tariqa hai logon
alag zawiye se qalam dekhte hain
hamari ghazal ho gai kahkashan na
jahan tak sitaron ko hum dekhte hain
ghazal le rahi hai nai ek karwaT
ye 'dushyant' 'ghaalib' adam dekhte hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.